Thursday, July 26, 2007

Kya haal hai mera

Mujhay maloom na tha mere dil mei yeh mauqaam hai tera
Dil tou kya pura wajood gulam hai tera

Tere pass rahnay ko bahane tarashta hai dil
tujhay sunnay ko pareshaan hai dimag mera

Kash woh samah wapas lay aoon jab tujh par halqe se bhe awaaz uthaye
kash koi aa kar saza day aur gala gonth day mera

Aek bar aa jaye kash woh mere bahoon mei
usay chunay ko tarap raha hai ab yeh dil mera

Yeh janti hun mei tu srif mera nahe hai na hoga
bas apne wajood ka paas day day phir koi bhe rishta ho tujh se mera

In ankhoon se ansoon thamtay nahe hain
ab sare zindage ka yeh matam hai mera

Tere bagair shayad mei rah tou jaaon is dunya mei
aye kash janat mei , tou ho srif mera

Ab samjhe us baat ka matlab ke ishq kise kahtay hain
chahay tou nafrat kar mujh se sare umer,yeh dil gulam hai tera

Is pure dunya mei kuin dil aa para srif tujh par?
ab jana is pure dunya mei koi naimubadal nahe tera

Is ahsaas par hans bhe daythi hun muskura muskura kar
ke aek zamane mei mei gurur aur pyar the tera

Ay kash aek awaz day aur apne pass bula lay
phir tere kadmoon mei jewan guzray ka mera

Kabhe sochti hun jo gar tou mujhay yaad kar lay kabhe kabhe
mujhay lagta hai jewan kath sakhta hai kushi kushi mera

Kuch dino ke baat nahe,ab zara aaram kar lay ay dil
yeh pyar ka dard hai,, hamesha rahay ga tera

Aise the tou na mei jo tere pyar ke baad ho gaye
ab lagta hai tere khayale bahoon mei dum nikle ga mera

Kash maafi maang sakun un sab logo ke pyar par jin par hasti the mei
yeh saza hai shayad jo un se baadtar haal hai mera

Aay kudha maaf kar de ab na hansun ge mei
sach much ab bohot bura haal hai mera
chamiya **